haar kar bazi phir ek tadbir ho jaunga main tum samajhte ho yun hi taskhir ho jaunga main ishq mein is ke sawa main kuchh nahin kar paunga hu-ba-hu jaanan teri taswir ho jaunga main sath chhutega nahin apna safar mein umr ke rahguzar tu aur tera rah-gir ho jaunga main aayaten mansub hain tujh se rumuz-e-ishq ki aur inhi aayat ki tafsir ho jaunga main gham uthata hun ghazal kahta hun jita rahta hun log kahte hain ki ek din 'mir' ho jaunga main