dar-haqiqat hai ye sazish hadisa kahne ko hai ab hamare pas kya is ke siwa kahne ko hai kya junun hai rah-e-manzil mein chubhe har khar ko panw ka har aabla bhi marhaba kahne ko hai hum ko hai taslim teri baat lekin jaan le ye sarasar zid hai teri iltija kahne ko hai ye tere tir-e-nazar us par teri zulmi ada dil ka har ek zakhm tera shukriya kahne ko hai ab to ye tufan thame ya phir muqaddar sath de sab ummiden hain khuda se nakhuda kahne ko hai anjuman mein hai tawajjoh sab ki yun teri taraf 'raaz' tu kya kah raha hai aur kya kahne ko hai