dar-haqiqat hai ye sazish hadisa kahne ko hai

dar-haqiqat hai ye sazish hadisa kahne ko hai
ab hamare pas kya is ke siwa kahne ko hai

kya junun hai rah-e-manzil mein chubhe har khar ko
panw ka har aabla bhi marhaba kahne ko hai

hum ko hai taslim teri baat lekin jaan le
ye sarasar zid hai teri iltija kahne ko hai

ye tere tir-e-nazar us pe teri zulmi ada
dil ka har ek zakhm tera shukriya kahne ko hai

ab to ye tufan thame ya phir muqaddar sath de
sab ummiden hain khuda se na-khuda kahne ko hai

anjuman mein hai tawajjoh sab ki yun teri taraf
'raaz' tu kya kah raha hai aur kya kahne ko hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close