dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp khazane mein zar ke zor se zinda hain sab khak ke is virane mein jaise rasm ada karte hon shahron ki aabaadi mein subh ko ghar se dur nikal kar sham ko wapas aane mein nile rang mein dubi aankhen khuli padi thin sabze par aks pada tha aasman ka shayad is paimane mein dabi hui hai zer-e-zamin ek dahshat gung sadaon ki bijli si kahin laraz rahi hai kisi chhupe tah-khane mein dil kuchh aur bhi sard hua hai sham-e-shahr ki raunaq se kitni ziya be-sud gai shishe ke lafz jalane mein main to 'munir' aaine mein khud ko tak kar hairan hua ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein