tare dard ke jhonke ban kar aate hain hum bhi nind ki surat udte jate hain jab andaz bahaaron ke yaad aate hain hum kaghaz par kya kya phul banate hain waqt ka patthar bhaari hota jata hai hum mitti ki surat dete jate hain kya zarron ka josh saba ne chhin liya gulshan mein kyun yaad bagule aate hain duniya ne har baat mein kya kya rang bhare hum sada auraq ulatte jate hain dil nadan hai shayad rah pe aa jae tum bhi samjhao hum bhi samjhate hain tum bhi ulti ulti baaten puchhte ho hum bhi kaisi kaisi qasmen khate hain baith ke roen kis ko fursat hai 'baqi' bhule-bisre qisse yaad to aate hain