dar khol ke dekhun zara idrak se bahar ye shor sa kaisa hai meri khak se bahar rudad-e-guzishta to suni kuza-gari ki farda ka bhi kar zikr jo hai chaak se bahar khush aaya ajab ishq ko ye jama-e-zeba nikla nahin phir hijr ki poshak se bahar chaha tha mafar dil ne magar zulf-e-girah-gir pechaak banati rahi pechaak se bahar aata nahin kuchh yaad ki ai saat-e-nisyan kya rakkha tere taq pe kya taq se bahar sunta hun kahin dur se naqqara saba ka utri hai bahaar ab ke bhi khashak se bahar kuchh der thahar aur zara dekh tamasha napaid hain ye raunaqen is khak se bahar maujud khala mein hain agar aur zaminen aflak bhi honge kahin aflak se bahar