dar khula subh ko pau phatte hi mai-khane ka aks suraj hai chhalakte hue paimane ka husn maujon ka chhalakna bhare paimane ka raqs pariyon ka hai aalam hai pari-khane ka hae zanjir-shikan wo kashish-e-fasl-e-bahaar aur zindan se nikalna tere diwane ka sadqe us soz ke jo soz ho us husn ke sath shoala goya par-e-parwaz hai parwane ka hon wahan gham hai jahan hasti-e-mauhum meri dusra nam adam hai mere virane ka na bayan ho jo mile subh-e-azal sham-e-abad hashr hai beach ka tukda mere afsane ka parda bhi baat bhi jalwa bhi pas-e-daman-e-barq shokhiyan hain ki ye andaz hai sharmane ka baal ke badle nazar aate hain is mein sau chaak aks aaina-e-dil par bhi pada shane ka pet mein khum ke hai jo kuchh wo bhara hai is mein munh na khulwa are waiz mere paimane ka kya tasawwur hi se uth jate hain parde dil ke dil bhi kya nam hai un ke kisi kashane ka rakhti hai aalam-e-nau sorish-e-hangama-e-ishq hashr ek harf-e-ghalat hai mere afsane ka aap ke haar ki kaliyon se ye milne ka nahin dil hai mitti ka na ghulne ka na murjhane ka khinchne wali ki jhalak dekhi hai jab se saqi dekhna munh mujhe angur ke har dane ka phirti hai hashr ke din aankh ke niche shab-e-wasl hae andaz wo us zulf ke bal khane ka sham-e-kaba rahe mahfuz ilahi ta-hashr nam raushan hai ek ujde hue but-khane ka na hawa thi na meri aah-e-adu the wo the haal shab ko na khula shama ke bujh jaane ka log kahte hain ki hai zahid-e-martaz 'riyaz' rind kahte hain use chor hai mai-khane ka