ruKHsat ai ham-safaro shahar-e-nigar aa hi gaya

rukhsat ai ham-safaro shahar-e-nigar aa hi gaya
khuld bhi jis pe ho qurban wo dayar aa hi gaya

ye junun-zar mera mere ghazalon ka jahan
mera najd aa hi gaya mera tatar aa hi gaya

aaj phirta ba-chaman darpai-e-gul-ha-e-chaman
gungunata hua zambur-e-bahaar aa hi gaya

gesuon walon mein abru ke kaman-daron mein
ek said aa hi gaya ek shikar aa hi gaya

baghbanon ko batao gul-o-nasrin se kaho
ek kharab-e-gul-o-nasrin-e-bahaar aa hi gaya

khair-maqdam ko mere koi ba-hangam-e-sahar
apni aankhon mein liye shab ka khumar aa hi gaya

zulf ka abr-e-siyah bazu-e-simin pe liye
phir koi khema-zan-e-saz-e-bahaar aa hi gaya

ho gai tishna-labi aaj rahin-e-kausar
mere lab par lab-e-lalin-e-nigar aa hi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close