dar-KHur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua

dar-khur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua
phir ghalat kya hai ki hum sa koi paida na hua

bandagi mein bhi wo aazada o khud-bin hain ki hum
ulte phir aae dar-e-kaba agar wa na hua

sab ko maqbul hai dawa teri yaktai ka
ru-ba-ru koi but-e-aina-sima na hua

kam nahin nazish-e-hamnami-e-chashm-e-khuban
tera bimar bura kya hai gar achchha na hua

sine ka dagh hai wo nala ki lab tak na gaya
khak ka rizq hai wo qatra ki dariya na hua

nam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila
kaam mein mere hai jo fitna ki barpa na hua

har-bun-e-mu se dam-e-zikr na tapke khun nab
hamza ka qissa hua ishq ka charcha na hua

qatra mein dajla dikhai na de aur juzw mein kul
khel ladkon ka hua dida-e-bina na hua

thi khabar garm ki 'ghaalib' ke udenge purze
dekhne hum bhi gae the pa tamasha na hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close