gaya sab andoh apne dil ka thame ab aansu qarar aaya nasib jage sitara chamka phire din apne wo yar aaya kaho ye saqi se aa khudara kare na kashti-e-mai kinara khuda ki rahmat ne josh mara barasta abr-e-bahaar aaya uthai kya kya na main ne zahmat magar na ki tark us ki ulfat raha hamesha main saf tinat kabhi na dil par ghubar aaya hua hai kya tur shoala-afshan bhadak uthi aatish-gulistan jalae deta hai dagh-e-hijran kahan se ud kar sharar aaya khuda nibahe ye aashnai hamein ye ulfat ke lag bhai kisi din us par jo dhup aai yahan qalaq se bukhar aaya kate tadapne mein zindagani na li kisi ne khabar hamari ye haal puchha ki arsh tak bhi hamara nala pukar aaya khatak hai aankhon mein meri ab tak dil us ka bhi ho raha hai dhak-dhak na did mujh ko hui mubarak na ras us ko singar aaya kamand-e-zulf-e-rasa se bare bache to mizhgan ne tir mare ghazab hai pesh-e-nazar tumhaare jo koi aaya shikar aaya bichhaya kamre mein farsh jhat-pat durust ki sej ki sajawat suni jo main ne kisi ke aahat guman guzra ki yar aaya kabhi jo baje ki lahr aae hawas udae wo shab bajae fusun ke bolon pe gat banae chhalawa ban kar sitar aaya chale jo aashiq pe tir-o-khanzar hua wo sarsabz surkh ho kar chadha sar us ka agar sinan par nihaal-e-ulfat mein yar aaya use samajhte hain jo hain ghazi ki sar katana hai sarfaraazi karega kya koi ishq-bazi mein jaan bad ke bidhaar aaya hui ye barbaad zindagani rahi na hasti ki kuchh nishani saba ne har chand khak chhani na hath musht-e-ghubar aaya ye chahne wale chahte the gale ka haar apna kar ke rakhiye diye na kis kis ne us ko dhage na dam mein wo gul-ezar aaya visal-e-mahbub ki tamanna kisi par izhaar ki na aslan qiran-e-sadain main ne puchha jo koi akhtar-shumar aaya chahak rahe hain chaman mein bulbul mahak rahe hain khule hue kul chhalak rahe hain piyala-e-mul khushi hai abr-e-bahaar aaya batao ai 'bahr' apni jab ki kisi se tum ne bhi dil-lagi ki khush aai surat kisi pari ki kisi pe tum ko bhi pyar aaya