dar-o-bast-e-anasir para para hone wala hai jo pahle ho chuka hai phir dobara hone wala hai guman-e-mahr mein ye baat hi shayad nahin hogi huwaida khak se bhi ek sharara hone wala hai kinara kar na ai duniya meri hast-e-zabuni se koi din mein mera raushan sitara hone wala hai pighalne ja raha hai phir se bahr-e-munjamid koi samundar hi samundar ka kinara hone wala hai bahut makhfi jise rakkha gaya tha chashm-e-imkan se abhi kuchh din mein us ka bhi nazara hone wala hai hamin hain us ki ninden aur hamin us ke nigahban hain hamare khwab par kis ka ijara hone wala hai wahi 'tariq'-naiim ab is qafas ke bab kholega kisi ki aankh se jo ek ishaara hone wala hai