kya khabar thi koi ruswa-e-jahan ho jaega kuchh na kahna bhi mera husn-e-bayan ho jaega apne diwane ka tum josh-e-junun badhne to do aastin daman gareban dhajjiyan ho jaega aashiq-e-jaan-baz hain hum munh na modenge kabhi tum kaman se tir chhodo imtihan ho jaega tuti phuti qabr bhi kar do barabar shauq se ye bhi apni be-nishani ka nishan ho jaega shadyane baj rahe hain aaj jis ja 'naz' kal dam zadan mein dekh lena kya saman ho jaega