dar-o-diwar pe sadiyon ka asar lagta hai ghar mein koi nahin hota hai to dar lagta hai soti aur jagti kirnen hain meri aankhon mein ek jaisa hi mujhe sham-o-sahar lagta hai koi aasan to nahin dard ki manzil pana dil ki har baat mein patthar ka jigar lagta hai phul sab ek se dilkash nahin hote lekin us ki zulfon mein har ek phul magar lagta hai warna ek bojh si lagti hai talash-e-manzil ham-safar sath agar ho to safar lagta hai jis pe so jate hain masum parinde 'sarwat' bas wahi ped darakhton mein shajar lagta hai