dar pe aaen bhi tere hum to wo zanjir kahan

dar pe aaen bhi tere hum to wo zanjir kahan
tera insaf kahan adl-e-jahangir kahan

shah-e-alam to kanizon pe nazar rakhte hain
hum ko wo yaad karen apni ye taqdir kahan

dil ye kahta hai ki ek din wo numayan hoga
log kahte hain ki is daur mein shabbir kahan

apni aankhen hi munafiq hon to manzar kaise
khwab bik jaen to phir khwabon ki tabir kahan

ab to sone ke piyalon hi mein khairaat mile
hum faqiron ki ho is daur mein tauqir kahan

hum ne aayat-e-gham-e-ishq sunain ro kar
khushk aankhon se bayan hoti bhi tafsir kahan

waqt ke sath makanon ke bhi naqshe badle
ghar mein 'jawed' purani koi taswir kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close