koi sunta hi nahin unki sada mere baad

koi sunta hi nahin un ki sada mere baad
hae kya waqt andheron pe pada mere baad

waqt se pahle hi ab us ki sahar hoti hai
hui mansukh shab-e-gham ki saza mere baad

ghair ko us ne shab-e-wasl mein danta do bar
mil gaya mujh ko wafaon ka sila mere baad

koi jata nahin bachchon ki qataren le kar
haspatalon mein wo charcha na raha mere baad

weight lifter koi mujh sa na hua jo paida
kaun uthaega tere naz bata mere baad

khun hai dil khak mein ahwal-e-butan par yani
kis ka ye ja ke dabaenge gala mere baad

apni mahrumi-e-qismat pe hansi aati hai
dudh bazar mein khalis bhi bika mere baad

mere matam mein nahin apni raqam ke gham mein
shahr ka baniya siyah-posh hua mere baad

un ki tafrih ka saman-e-tarab tha main hi
doctor log hain jine se khafa mere baad

rasm-e-iflas ki tahzib thi mujh se qaem
uth gai dahr se jine ki ada mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close