dar pe tere pukar ki fariyaad sama tu ne na yar ki fariyaad nahin sunta hai lala-ru mera is dil-e-daghdar ki fariyaad aah sunta hai kab wo rashk-e-bahaar hum ne go ab hazar ki fariyaad dekh us rashk-e-gul ko jun bulbul main ne be-ikhtiyar ki fariyaad hijr mein tere meri aankhon ne ro ro jyun aabshaar ki fariyaad roz sunte hain hum khizan mein aah bulbulon se bahaar ki fariyaad sharar-e-garm ishq par jal ke dil ne ispand-war ki fariyaad kaun sunta hai kis se ja kahiye is dil-e-be-qarar ki fariyaad nala-e-zar ko mere sun kar ne nin ho dil-figar ki fariyaad rah-e-ulfat mein main ne har dil chaak rah-e-ulfat mein main ne ho dil chaak jyun jaras bar bar ki fariyaad gul ne bulbul ki sun li sun tu bhi apne mahjur-e-zar ki fariyaad uff na halq-e-burida ne ki mere khanjar-e-abdar ki fariyaad ho gaya khak par kisi se na ki main ne us shahsawar ki fariyaad kya 'jahandar' arz karta hai suniyo is khaksar ki fariyaad