wo lahu roi hain aankhen ki batana mushkil ab koi khwab in aankhon mein sajaana mushkil kitni yaaden thin ki gard-e-rah-e-ayyam huin kitne chehron ka hua dhyan mein lana mushkil kitne shab-khun the ujalon pe jo mare na gae kitni shamen thin hua jin ka jalana mushkil kitne darwaze dilon ke the jo diwar bane aisi diwar ki dar jis mein banana mushkil rang jitne the bahaaron mein bahaaron se gae is chaman-zar mein ab ji ka lagana mushkil wo bhi ai shahr-e-nigaran tha koi mausam khwab bit jaane pe bhi hai jis ko bhulana mushkil raqs karte hue kanton pe chale hum warna har-qadam rah mein tha phul khilana mushkil yunhi chadhta raha gar dard ka dariya to 'jamal' kashti-e-jaan ko kinare se lagana mushkil