dar se mayus tere talib-e-ikram chale kaisi ummid liye aae the nakaam chale o meri bazm-e-tamanna ke sajaane wale lutf kar lutf ki duniya mein tera nam chale chhin le charkh-e-sitamgar se andaz-e-khiram kuchh agar zor tera gardish-e-ayyam chale ek wo hain ki tera lutf-o-karam hai jin par ek hum hain ki teri bazm se nakaam chale azm-e-rasikh ne bhi ghabra ke qadam tod diye kucha-e-yar mein hum yun sahar-o-sham chale mast aankhon ka agar ek ishaara ho jae wajd mein aae subu aur kahin jam chale nind bimar-e-mohabbat ko kahin aati hai subh ta-sham agar baad-e-subuk-gam chale rah-raw-e-ishq hain manzil ki hamein kya ummid kya chale khak agar baith ke do-gam chale kaun jae hadaf-e-tir-e-nazar hone ko sabr se kaam agar ai dil-e-nakaam chale haif sad haif thi ummid-e-rifaqat jin se aaj wo bhi mere sar thop ke ilzam chale ek 'shatir' ke na hone se bigadta kya hai teri mahfil rahe aabaad tera nam chale