dard mein jab kami si hoti hai dil tadapta hai aankh roti hai wasl ki raat raat hoti hai qalb bedar aankh soti hai samne un ke lab nahin khulte band goya zaban hoti hai ek qatra hai un ki mizhgan par ya koi la-jawab moti hai bahr-e-ulfat mein kashti-e-dil ko mauja-e-ummid hi duboti hai aankh kahti hai gham ke afsane ek aisi ghadi bhi hoti hai dil mein chutki si le raha hai kaun aankh kyun bar bar roti hai mil ke do qalb jab bichhadte hain zindagi zindagi ko roti hai gham ki rudad puchhne wale aansuon ki zaban hoti hai dil jala aasman na jal jae aah-e-bekas kharab hoti hai be-zarurat si guftugu 'shatir' e'tibar aadmi ka khoti hai