Dar se uski na irfan juda kar usko

dar se us ki na 'irfan' juda kar us ko
khol ye band-e-wafa aur riha kar us ko

nazar aane lage apne hi khad-o-khal-e-zawal
aur dekha karo aaina bana kar us ko

aakhir-e-shab hui aaghaz kahani apni
hum ne paya bhi to ek umr ganwa kar us ko

dekhte hain to lahu jaise ragen todta hai
hum to mar jaenge sine se laga kar us ko

tere virane mein hona tha ujala na hua
kya mila ai dil-e-saffak jala kar us ko

aur hum dhundte rah jaenge khushbu ka suragh
abhi le jaegi ek mauj uda kar us ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close