tera khayal bhi hai waz-e-gham ka pas bhi hai magar ye baat ki duniya nazar-shanas bhi hai bahaar-e-subh-e-azal phir gai nigahon mein wahi faza tere kuche ke aas pas bhi hai jo ho sake to chale aao aaj meri taraf mile bhi der hui aur ji udas bhi hai khulus-e-niyyat-e-rah-rau pe munhasir hai 'azim' maqam-e-ishq bahut dur bhi hai pas bhi hai