dar talak aa ke tuk aawaz suna jao ji apne mushtaq ko itna bhi na tarsao ji ghair ke sath se bhage hai mujhe dekh to main us se kahta hun ki us ko tumhi thahrao ji main jo ek roz bulaya unhen ghar jate dekh pas aa baith ke kahne lage farmao ji shana kya zulf-e-pareshan mein karo ho baithe apne uljhe hue baalon ko to suljhao ji zanu-e-ghair pe shab sar na rakha tha tum ne jao jhuti na mere sar ki qasam khao ji mujh se kya puchho ho kya ji mein tere hai sach kah hai jo kuchh ji mein mere tum hi samajh jao ji raat andheri hai chale aao mere ghar chhup kar aa ke phir chand sa mukhda mujhe dikhlao ji ishq mein hote hain myan-'mushafi' sau tarah ke gham go gham-e-hijr hai itna bhi na ghabrao ji