naya mazmun kitab-e-zist ka hun nihayat ghaur se socha gaya hun sunen mujh ko to main dhadkan hun dil ki nahin sunte to sahra ki sada hun meri jaanib koi aae to puchhun nishan-e-rah hun manzil hun kya hun kisi ko kya bataun kaun hun main ki apni dastan bhula hua hun khud apni did se andhi hain aankhen khud apni gunj se bahra hua hun meri sairabiyon mein tishnagi hai ki main dariya hun lekin ret ka hun wo ran mujh mein pada hai khair o shar ka ki apni zat mein ek karbala hun mera sina hai chhalni nai ki surat inhin zakhmon se main naghma-sara hun mujhe shabnam ka aaina mila hai isi mein gul ki surat dekhta hun meri maujudgi se bandagi hai ki jab se gum hua hun main khuda hun