Dara raha hai musalsal yahi sawal mujhe

dara raha hai musalsal yahi sawal mujhe
guzar denge yunhi kya ye mah-o-sal mujhe

bichhadte waqt izafa na apne ranj mein kar
yahi samajh ki hua hai bahut malal mujhe

wo shahr-e-hijr ajab shahr-e-pur-tahayyur tha
bahut dinon mein to aaya tera khayal mujhe

main is khayal se jata nahin uruj ki samt
mabaad gher le tanha kahin zawal mujhe

har ek shakhs ka chehra khud us ka chehra hai
kahin to koi mile aaina-misal mujhe

tu mere khwab ko ujlat mein raegan na samajh
abhi sukhan ki imkan se mat nikal mujhe

kise khabar ki ta-khak aag zinda ho
zara si der thahar aur dekh-bhaal mujhe

kahan ka wasl ki is shahr-e-pur-fishaar mein ab
tera firaq bhi lagne laga muhaal mujhe

usi ke dam se to qaem abhi hai tar-e-nafas
ye ek ummid ki rakhti hai pur sawal mujhe

kahun main taza ghazal ai hawa-e-taza-dili
zara si der ko rakhe jo tu bahaal mujhe

khiram-e-umar kisi shahr-e-pur-malal ko chal
kiye hue hai ye aasudgi nidhaal mujhe

kahan se laen bhala hum jawaz-e-ham-safari
tujhe aziz tere khwab mera haal mujhe

mujhe kahan ye khabar hai main kya hun kaisa hun
magar hai wajh-e-tasalli tera jamal mujhe

ubhar raha hun main sath-e-adam se naqsh-ba-naqsh
teri hi jalwagari hun zara ujal mujhe

yahan to habs bahut hai so gard-baad-e-junun
madar-e-waqt se bahar kahin uchhaal mujhe

phir us ke baad na tu hai na ye charagh na main
sahar ki pahli kiran tak zara sambhaal mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close