dara rahe hain ye manzar bhi ab to ghar ke mujhe dikhai khwab diye raat bhar khandar ke mujhe har ek ghazal mein main rozana chand tankta hun sitare chumte hain shab utar utar ke mujhe ganwa di umr use nazm kar nahin paya saliqe aate hain waise to har hunar ke mujhe is ek shauq ne mujh ko mita diya yaro bas ek bar kabhi dekhna tha mar ke mujhe kinare baith ke karta hun nazm ashkon ko nadi sunati hai afsane chashm-e-tar ke mujhe main ek adhuri si taswir tha udasi ki kiya hai us ne mukammal tabah kar ke mujhe