sans ka jhonka bhi ab tufan hota jaega har nafas thoda bahut nuqsan hota jaega chap kanon se kisi ki dur jati jaegi rafta rafta ye badan be-jaan hota jaega ajnabi logon ki dil par dhak badhti jaegi apne hi ghar mein koi mehman hota jaega pasbanon ke hawale bastiyan hongi agar jagne ka raat bhar elan hota jaega hijr ka aalam uda le jaega rangat kahin aur samundar sukh kar maidan hota jaega raat hone do yahan par barhanai chhaegi wo hawas mein dekhna haiwan hota jaega