daraaz-dast ko dast-e-ata kahin na mila bakhil-e-shahr tha hajat-rawa kahin na mila fasil-e-shab pe sahar ka diya jalata kaun ki koi shakhs mujhe jagta kahin na mila lahu ki aag thi raushan har ek hatheli par kisi bhi hath pe rang-e-hina kahin na mila gira khud apni nazar se to puchhta phir kaun khudi ganwai to mujh ko khuda kahin na mila sabhi the apne khudaon se bad-guman shayad kisi zaban pe harf-e-dua kahin na mila