ghar se nikalna jab meri taqdir ho gaya ek shakhs mere panw ki zanjir ho gaya ek harf mere nam se diwar-e-shahr par ye kya hua ki raat mein tahrir ho gaya main us ko dekhta hi raha us mein dub kar wo tha ki mere samne taswir ho gaya wo khwab jis pe tira-shabi ka guman tha wo khwab aaftab ki tabir ho gaya main to zaban pe laya nahin tera nam bhi kyun ishq mera bais-e-tashhir ho gaya 'aghaz' us ne jo bhi kaha mere waste wo kyun mere kalam ki tafsir ho gaya