daraaz-qamat daraaz-gesu ajib sa ek nigar tha wo gulon ki bag us ke hath mein thi hawaon par jab sawar tha wo junun tha ban kar lahu ragon mein ki raat din daudte the lamhe thake na the wo jo ruk gae the mere liye be-qarar tha wo mere khuda husn ke dafine ko mat khazane ka martaba de ki pa ke jo us ko khush bahut tha ganwa ke kal ashk-bar tha wo ubal pade nafraton ke sote ki ho gai khushk jhil gham ki shikast-khurda sa munh chhupae na jaane kis ka shikar tha wo kabhi kabhi jo suna gaya tha kahin kahin jo padha gaya tha kitab mein band ho chuka hai ek umr ka shahkar tha wo wo doston dushmanon ka pyara phira tamam umr mara mara suna hai kal gham ne mar dala ki jis ka derina yar tha wo ajib rahi tha reg-zaron mein pyas lamhon ki bo raha tha magar chattanon se gir raha tha ki shab mein ek aabshaar tha wo