daraegi bhala kya teri gardish aasman mujh ko mila rab se dua-e-fatima ka saeban mujh ko chali hai chhod kar tu kyun bahaar-e-gulistan mujh ko khuda jaane kahan le jae ab baad-e-khizan mujh ko main shukr-e-rab ka qail hun hawa kaisi hi chalti ho pata aasaniyon ka de gain hain sakhtiyan mujh ko jala dunga husul-e-manzil-e-maqsud ki khatir jalani pad gain gar sari apni kashtiyan mujh ko na sham-e-anjuman mein hun na parwanon ka mela hai kahan tha main kahan le aai hai umr-e-rawan mujh ko suna hai sab bhula baithe 'adil'-e-dil-shikasta ko na jaane aa rahi hain sham se kyun hichkiyan mujh ko