bas lamhe bhar mein faisla karna pada mujhe sab chhod-chhad ghar se nikalna pada mujhe jab apni sar-zamin ne mujh ko na di panah anjaan wadiyon mein utarna pada mujhe panw mein aable the thakan umr bhar ki thi rukna tha baithna tha pa chalna pada mujhe apni parakh ke waste tufan ke darmiyan mazbut kashtiyon se utarna pada mujhe teri ana ke hath mein the tere faisle tu to badal na paya badalna pada mujhe be-intiha tazad tha donon ki soch mein kuchh yun bhi raste ko badalna pada mujhe ye bhi hua ki ba-dil-e-na-khwasta kabhi zinda haqiqaton se mukarna pada mujhe yakja raha ek umr magar teri did ko manind-e-musht-e-khak bikharna pada mujhe aaghaz apne bas mein na anjam hi 'adil' ek zindagi guzar ke marna pada mujhe