darakht ab kis ka rasta dekhte hain musafir manzilon ke ho gae hain khuda jaane hui hai baat kaisi mukhalif sab ke sab apne hue hain wahan to ishq hai ek khel goya yahan to jaan ke lale pade hain kahin gunja hai koi qahqaha kya fazaon mein bhanwar se pad rahe hain isi duniya mein hain kitni hi duniya sabhi ke apne apne masale hain hamare zehn to mafluj the hi hamare dil bhi patthar ho gae hain dariche band darwaze muqaffal bayaban ke magar raste khule hain kahan 'faruq' raushan khwab honge hamari aankhon mein to ratjage hain