darakhton par parinde bolte hain nikal ghar se ki raste bolte hain dar-o-diwar se raunaq gharon ki dilon ka haal chehre bolte hain yun hi sinon se kab nikli hain aahen lage jab thes shishe bolte hain koi be-sakhta jumla kabhi to ye sab alfaz tote bolte hain abhi to gul-fishani ho rahi hai ye dekhen kya wo aage bolte hain garan us ki samaat par na guzre so hum kitna sambhal ke bolte hain tera andaz sab ko bha gaya hai tere lahje mein sare bolte hain hai aisa shahr bhi aabaad 'faruq' hain sab khamosh katbe bolte hain