daraKHt ruh ke jhume parind gane lage

darakht ruh ke jhume parind gane lage
hamein udhar ke manazir nazar bhi aane lage
khush-amdid ka manzar ghurub-e-sham mein tha
dar-e-shafaq pe farishte se muskurane lage
firaq o wasl ke ma-bain ye saman jaise
udas lai mein koi hamd gungunane lage
main ek saat-e-be-khud mein chhu gaya tha jise
phir us ko lafz tak aate hue zamane lage
khabar ke mod pe sang-e-nishan thi be-khabari
thikane aae mere hosh ya thikane lage
muhib raste sarhad ki samt jate hue
zara sa aur chale hum to wo suhane lage
ek apne-ap se milna tha 'saz' jis ke liye
riqabaten huin darkar dostane lage
This is a great muskurane ki wajah shayari in hindi. True lovers of hamd shayari in urdu will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore gane wali shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close