darakhton se juda hote hue patte agar bolen to jaane kitne bhule-bisre afsanon ke dar kholen ikatthe baith kar baaten na phir shayad mayassar hon chalo in aakhiri lamhon mein ji bhar kar hansen bolen hawa mein bas gai hai phir kisi ke jism ki khushbu khayalon ke parinde phir kahin udne ko par taulen jahan the muttafiq sab apne begane dubone ko usi sahil pe aaj apni ana ki sipiyan rolen bhanwar ne jin ko la phenka tha is be-rahm sahil par hawaen aaj phir un kashtiyon ke baadban kholen na koi rokne wala na koi tokne wala akele aaine ke samne hans len kabhi rolen