dard aakhir dard hai aah-o-fughan hoga zarur aag lagti hai jahan par bhi dhuan hoga zarur main zamane se zamana mujh se barham hai magar ek din apna zamin-o-asman hoga zarur lakh lahraati rahen ye bijliyan chaaron taraf andaliban-e-chaman ka aashiyan hoga zarur azm-e-mohkam shart hai rakht-e-safar mein rah-rau nazd-e-manzil ek din ye karwan hoga zarur kaun tha jo fikr-e-alam par achanak chha gaya ho na ho koi hamare darmiyan hoga zarur qabl is ke har qadam aage badhe ye soch kar sar jahan tuta hai diwana wahan hoga zarur jaeza lete raho 'hamdam' kitab-e-zist ka aane wala kal tumhaara imtihan hoga zarur