dhundhta phirta hai kabe mein sanam hai ki nahin ai dil-e-nadan tujhe pas-e-haram hai ki nahin phir wahi barq-e-tabassum khirman-e-dil par giri aap hi kahiye ki ye zulm-o-sitam hai ki nahin ai masiha-e-zamana ye bata deta mujhe jo jigar mein dard hai mere wo kam hai ki nahin jo khalish bechain kar deti hai mujh ko bar bar aap ke sine mein bhi wo soz-e-gham hai ki nahin mere saqi main nahin aata ghata le aai hai dekhun tu bhi mail-e-lutf-o-karam hai ki nahin ab ke rahbar jo banaen to parakh kar dekh len ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-qalam hai ki nahin pad ke hathon mein zamane ke zara 'hamdam' bata zindagi waqf-e-alam mashq-e-sitam hai ki nahin