dard apna tha to is dard ko khud sahna tha na kisi aur se dukh apna kabhi kahna tha ghalati ki ki murawwat mein musibat jheli zulm bardasht hi karna tha na chup rahna tha ashk ban kar jo na bahta to ragon mein bahta kisi surat se lahu tha to use bahna tha shubh hota tha ki hai rang-e-badan ya malbus be-libasi thi libas us ne kahan pahna tha main jo mar jaun to sab log kahenge 'azar' itni bosida imarat thi ise dhahna tha