chahat tumhaari sine pe kya gul katar gai kis khush-saliqagi se jigar chaak kar gai rakkhi thi jo sambhaal ke tu ne salamti wo tere baad kis ko pata kis ke ghar gai jo zindagi samet ke rakkhi thi aaj tak ek lamha-e-khafif mein yaksar bikhar gai bhatke hue the aise ki gard-e-safar ko hum mud mud ke dekhte rahe manzil guzar gai ek umr dhup mein jo pali thi wo kashmakash saya ghane darakht ka dekha to dar gai hairat hai kuchh pata na chala kaise zindagi jaisi guzarni thi meri waisi guzar gai ochhon ki taba 'azar'-e-khush-khu se puchhiye jun hi hawa-e-waqt lagi bas aphar gai