dard ashkon mein dhal bhi sakta hai dil ka patthar pighal bhi sakta hai tum se mil kar ab aa gaya hai yaqin koi mujh ko badal bhi sakta hai dar-e-hakim pe soch kar de sada kasa-e-sar uchhal bhi sakta hai muntazir hun ye jaante hue bhi rasta wo badal bhi sakta hai le main hazir hun chal utha khanjar tera arman nikal bhi sakta hai tu jo chahe to kaenat ka gham mere saghar mein dhal bhi sakta hai waqt badla to na-tawan dushman mung chhati pe dal bhi sakta hai kyon hai maghrur us bulandi par tu jahan se phisal bhi sakta hai shaeri sahl to nahin 'ambar' dam tumhaara nikal bhi sakta hai