duniya se bahar-haal ye charcha nahin karna

duniya se bahar-haal ye charcha nahin karna
kya chahiye karna mujhe aur kya nahin karna

ye dard to barson ki tamanna ka sila hai
ai mere masiha mujhe achchha nahin karna

kuchh soch ke hi tum se badhai hai iradat
ab koi mujhe dusra qibla nahin karna

jo qaid parindon ko kare dal ke dana
tum us ki mohabbat pe bharosa nahin karna

khwahish hai mera raqs-e-junun dekhe zamana
aur us ki hai tambih tamasha nahin karna

raaten na guzarne lagen be-khwab tumhaari
itna bhi mere bare mein socha nahin karna

sar dard mujhe apna badhana nahin 'ambar'
ab kar-e-masiha nahin karna nahin karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close