dard baDhte baDhte aap apna mudawa ho gaya

dard badhte badhte aap apna mudawa ho gaya
aankh se aansu bahe to ji bhi halka ho gaya

un se qasid sirf ye kahna ba-sad ijz-o-niyaz
dard jo jaan-bakhsh tha ab jaan-lewa ho gaya

main ne khud se bhi chhupaya tha teri ulfat ka raaz
ai nigah-e-naz tujh par kaise ifsha ho gaya

apne bimar-e-mohabbat ka karo tum kuchh ilaj
warna phir kahte phiroge hae ye kya ho gaya

bazm mein 'akhtar' mujhi par to na thi un ki nigah
main ne un aankhon mein kya dekha mujhe kya ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close