dard ban jae jo darman to ghazal hoti hai

dard ban jae jo darman to ghazal hoti hai
chaaragar bhi lage hairan to ghazal hoti hai

koi bismil jo ho shadan to ghazal hoti hai
koi qatil ho pasheman to ghazal hoti hai

shab ko aane ka yaqin pura dila kar shab mein
tod dale koi paiman to ghazal hoti hai

yas ke ghor andhere mein achanak koi
shama ho jae farozan to ghazal hoti hai

tis uthti hai ghazal ban ke mere sine se
zakhm karta hai jo ehsan to ghazal hoti hai

zulmat-e-hijr mein rah rah ke kasak uthne se
ho kathin raat bhi aasan to ghazal hoti hai

ek chingari jo mastur hai mere dil mein
raat ko kar de darakhshan to ghazal hoti hai

phul khilte hain to hoti hai chaman mein khushbu
dil mein hota hai charaghan to ghazal hoti hai

aalam-e-shauq-e-mulaqat mein parwane se
shama hoti hai gurezan to ghazal hoti hai

mujh se sargoshiyan karti hai khamoshi shab ki
aur phir uthta hai tufan to ghazal hoti hai

aarzu pae jo takmil to hoti hai fana
ghat ke rah jae jo arman to ghazal hoti hai

be-karan jaur-o-sitam hi nahin late us ko
ho karam bhi jo farawan to ghazal hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close