dard ban kar bhi dil-o-jaan mein nahin rah pata

dard ban kar bhi dil-o-jaan mein nahin rah pata
wo sanwarta hai to imkan mein nahin rah pata

fasl-e-gul jhel ke yun jism darida to na tha
chaak bhi ab to gareban mein nahin rah pata

hamd kije bhi to kya us ki ki hai barq-sifat
do ghadi dida-e-hairan mein nahin rah pata

kuchh to ghamze bhi hain is dushman-e-din ke kafir
kuchh ye dil bhi hai ki iman mein nahin rah pata

rozi roti ke sawalon mein ghira rahta hun
dil mein jo shakhs hai arman mein nahin rah pata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close