jo na gulshan na gulabon se nikal kar aae

jo na gulshan na gulabon se nikal kar aae
wo to khushbu hai jo khwabon se nikal kar aae

itni rangin to nahin hoti qaba kya hoga
gar mera chand sahabon se nikal kar aae

gham ke tare bhi bujhe jate hain us se kah do
surat-e-subh hijabon se nikal kar aae

zindagi ab to tera shahr-e-haqaeq ye kahe
koi sahra na sarabon se nikal kar aae

kabhi wo bhi to sana-khwan ho ki jis ki khatir
itne khunrez azabon se nikal kar aae

jab koi lafz tere pyar ke qabil na mila
koi mani na kitabon se nikal kar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close