dard baqi dawa nahin baqi mujh mein ab hausla nahin baqi kashti-e-zist dubne ko hai us ka ab nakhuda nahin baqi kaisi hain darmiyan ki diwaren warna to fasla nahin baqi mahfilen did aur mulaqaten hijr ke ma-siwa nahin baqi rahzan hain sabhi pas-e-parda ab koi rahnuma nahin baqi log sab hain dagha ki daldal mein kyon kisi mein wafa nahin baqi dard-o-gham sare tere hijr mein the ab koi aariza nahin baqi hae luta hai ek naqab-zan ne ghar mein ek boriya nahin baqi yaad aae 'salim' baad-az-marg kahte hain sar-phira nahin baqi