inhin zamini khudaon ke zer-e-dast hun main main jaanta hi nahin tha ki kitna past hun main pa-e-sharab bhala shaikh se ulajhna kya khuda-parast hai wo aur butan-parast hun main kisi ki mast-nigahon se mast rahta hun zamana mujh ko samajhta hai baada-mast hun main jahan bhar ke ghamon ka thikana rakhta hun kushada dil hai mera garche tang-dast hun main main apne hathon mein sar apna le ke phirta hun ki sarkashon ke qabile ka sar-parast hun main ki mujh ko yun to koi bhi hara nahin sakta par ahl-e-dil ke liye qabil-e-shikast hun main