dard betab hai alfaz mein dhalne ke liye rasta chahiye sab ko hi nikalne ke liye khatm ho jata hai sab kuchh kabhi ek lamhe mein aur ek lamha hi kafi hai sambhalne ke liye aisi barish ki zamin gharq hui jati hai abr kuchh waqt to de deta sambhalne ke liye main diya hun meri fitrat hai ujala karna wo samajhte hain ki majbur hun jalne ke liye raat ke sath jala karti hun lamha lamha chand ka nur 'saba' chehre pe malne ke liye