shuur-e-zist sahi e'tibar karna bhi ajab tamasha hai lail-o-nahaar karna bhi hadis-e-gham ki tawalat giran sahi lekin kisi ke bas mein nahin ikhtisar karna bhi bana ke kaghzi gul log ye samajhte hain ki ek hunar hai khizan ko bahaar karna bhi ab is nazar se teri rah dekhta hun main tera karam hai tera intizar karna bhi guzarne ko to hum ne baras guzar diye bada azab hai ghadiyan shumar karna bhi khulus-o-mehr ki kohna riwayaton pe na ja qadim rasm hai dhoke se war karna bhi ab us ke wada-e-farda ka zikr kya karna mujhe pasand nahin inhisar karna bhi hamein ne shauq-e-shahadat ki ibtida ki thi hamin pe khatm hua jaan nisar karna bhi jo 'rashk' karna hai tum ko to 'rashk' mujh se karo ki mera kaam hai logon se pyar karna bhi