dard bhi ginte raho aur khwab bhi ginte raho kitna achchha kaam hai lekin akele mat karo main ne us ki raushni mein jis qadar nazmen kahin in ko diwaron pe likhna hai mera tum sath do umr ke ye sal bhi aakhir guzar hi jaenge chand wade ki taraf takte raho aur khush raho rizq ki machhli ki khatir qatl kar dete hain log ho sake to apna sab kuchh dusron mein bant do ab the is ke pas 'bedi' pesh us ne kar diye aarzu anjam tak pahunchi miyan jite raho